BAiT @01 Q.Murshid O Rehnuma Kyu Zaruri He? A."Har Jama'at Ko Imam Ke Sath Bulayen Ge" (Bani Israil Ayat#71) Iske Elawa Sura Kahaf Ayat#17 Se B Murshid Ki Haqiqat Sabit He Lihaza Sahihul Aqida Namazi, Parhezgar Aur Kaamil Shakhs K Hath Pr Bait Krke Uske Hukum Par Chalna Chahye Ibn e Umar RadiyALLAHu anhu Farmate Hen: Hum Nabi Paak Alahissalatu Wassalaam Ki Bait Kya Kartey {Abu Dawood J2, H#1166, P#443} Aurten Parda Me Zubani Ehad Karen BAiT @02 Jareer Bin Abdullah Farmaty Hen Ke Me Ne Aaqa Sallallahu Alaihi Wassallam Sy NAMAZ Qaaim Karny ZAKAAT Dney Aur Har Musalman Ke Khair Khuwah Rehny Par Baiy'at Ki (Bukhari V#1 H#497) Sarkar Sahaba Sey Jin Baato Par Baiy'at Letey They Bad Qismati Sey Aaj Ka Haakim Khud In Baato Ke Khilaf Hy BAiT @03 Jo Shakhs Is Haalat Mey Maraa Ke Iski Garden Mey Kisi Ki Bait Nahi Wo Jahaalat Ki Mout Mara (Mishkat P#320) BAiT @04 PEER o MURSHiD: "Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband e Shariat Peer Sa Bait Ki Jaye, Jo Masail Jaanta Ho Aur Us Ka Silsila Huzur Alaihissalatu Wassalaam Tak Muttasil Ho, Aur Bila Shuba Jaahil Faqeer Ka Mureed Hona Shetan Ka Mureed Hona He" (Malfozat P#297) BAiT @05 Peer Me 4 Sharait Hona Laazmi Hen 1> Sunni Saheehul Aqeeda Ho 2> IsKey Paas Fiqah Ka Itna Ilm Ho Key Apni Zarurat Key Tamaam Masaail Jaanta Ho Aur Koi Masail e Jadeeda Paish Aaye To Iska Hukum Khud Kitaab Se Nikaal Sakey 3> Iska Silsila Syedul Ambiya Se Lekar Is Tak Key Tamam Buzurgon Ka Suboot Ho, Beech Me Koi Gayab Na Ho 4> Koi Aelaniya Gunaah Na Karta Ho Aur Koi Sagheera Gunaah Ho Jaye To Foran Touba Kary (Fatawa Razavia Qadem V#9 P#114) BAiT @06 Peer Aur Mureeda Ke Darmaiyan Parda: Aalahazrat Imam Ahmed Raza Farmatey Hen! "Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz He Jiska ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He. Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He" (Masail e Sima'a P#32) BAiT @07 Q. Tareeqat Kya Hy? A. Tareeqat, Tasawwuf, Roohaniyat Teeno Ek Jesey Alfaaz Hen. Jab Insan Shariyat Par Mukammal Amal Karne Lagy To Shariyat Aur Islam Us Men Samaa Jaata Hy, Wo Mo'min Ke Zumrey Me Aajata Hy, Yahan Sy Tareeqat Shuru Hoti Hy Tareeqat Sy Murad Apni Manzil Ya'ni ALLAH Ko Paana Hy