Bahishti Darwaza 1@ Mazarat e Aoliya Umuman Or Baba Farid Shakar Ganj ka Mazar Khususan Sha'aairullah may se 1 Shiaar e Azeem hy Or Iska Wo Darwaza jo Bahishti Darwazey k naam se Maruf hy Bari Azmet ka Hamil Or khususiyet k sath Aaqa Karim w Khulaf e Rashideen ki Arwah e Tayiba ki Jalwa gah Or Mukhliseen Ehl e islam k liye payam e Rehmat Or Khush Aqeedgi k sath wahan se Guzarna Baais e Maghfirat Or Bulandi e Darjat k Muzda e Janfiza Or Bashaarat e Uzma hy Behishti Darwaza 2@ Is Darwazey k Fazaail k Sahee Or Sabitul Asal honey k liye itna kafi hy k Is Bab ki is fazeelat k zuhoor k Bad k Jumla Mashaikh o Aolia Bilkhusus Sayed Sulaiman Taonswi Pir Mehar Ali Shah Golarwi Khuaja QamrudDin Siyalwi Sayed Ahmed Saeed Kazmi Wagera Na sirf ye k is ki Fazeelat k Qaail Or Sarapa Adab ban kr Guzarnay k Faail Or Husn e Aqeedat k Sath wahan se Guzarney walon ko Nahayet Khush Bakht Tasawwur farmatey they. Behishti Darwaza 3@ Is Darwazey k "Bahishti Darwaza" kehney ki Umumi Daleel e Shar'aee ye hay k Bashumul Bukhari Ahadees e Saheeha kaseera ki Ru se Jumla Momineen Saliheen Or Tamam Aoliya e Kamileen k Qubuoor e Mutahira Or Mazarat e Muqaddasa "BAAGICHA E JANNAT" hain. Jab Huzur k Farman k Mutabiq "Her Momin ki Qaber Jannatul Firdos ka Tukra hoti hay" (Bukhari) To Goya Wali k Mazar per janey wala, goya Jannat k Darwazey he may Dakhil hota hay. Behishti Darwaza 4@ Khususi Daleel ye hy K Mehr e Munir P-430 Per Pir Mehar Ali ne Silsila e Chisht k Akabir Mashaikh ka Musaddiqa Or Kutub e muta'addid, Motabira k Hawaley se ye likha k Khuaja Nizamud Din Aolia (Khalifa e Baba Farid) ka farman hy "may ne Aalam e Zahir may Apni Sir ki Aankhon se Huzur karim ko Charon Yar k Sath Bajism e Athar 6,7 Muharam ki Darmiyani Shab is Darwazey se Guzar kr Maqbarey k Andar Tashrif lay jatey Daikha hay Or Huzur ka ye Irshad Suna hy k "Man Dakhala Hazal Bab Faqad Amana" Jo is Darwazey may Dakhil Huwa wo Aman Pa gaya" Neez Mashaikh e Izam ka bhi is pr ittifaq raha hy" Behishti Darwaza 5@ Bahishti Darwazey pr Hzrat Khuaja Nizamud Din Aolia k Hawaley se Ye Qoal likha hy k Man Dakhala..... Jisay Sadyon se Hr Saal Hazaron Ulama o Aimma mulahiza farma kr Tasdeeq farmatey ya km az km iski Tardeed se Sukut farmatey Hain Jo is k Sahee Honey pr In k Ittifaq ki Roshan Daleel hy Behishti Darwaza 6@ Chun k Bahishti Darwazey ki Fazeelat Sadiyon pehley ki Sabit shuda Haqiqat hay Is se ye bhi sabit huwa K Ehl e Sunnat k Aqaaid ki Bunyad Aalahazret ne nahi rakhi. Apki haisiyet mehaz mudawwin o Tarjuman ki hay. Ehle Sunnat wal Jamat Or is k jumla Aqaaid o Nazeryat Sadiyon Puraney hain Behishti Darwaza 7@ Akabir Ulama e Dewband ka Dawa hy k Wo B Chishti Silsilay se Wabista hain Rashid Gangohi, Qasim Nanotwi w Ashraf Ali Thanwi Etc ne Haji Imdadullah Muhajir Makki ko apna Peer bana kr un se Beat ki thi (Taqdeem e Kuliyat e Imdadiya) Or Haji Sahb ka Silsila Chishtiya Sabriya o Nizamiya hy (Kuliyat e Imdadiya) Ab agar inka Dawa Sacha hy to Usooli tor pr Bahishti Darwazey k Fazaail ka Haq Tasleem karna Dewbandiyon pr Lazim Qarar paya. Behishti Darwaza 8@ Dewbandiyon k 1 Musallima Aalim Gulam Muhammad Ghothwi ne Bahishti Darwazey ki Maruf Fazeelat ko Sabitul Asal Sahee Or Durust Qarar dia. Kehtey hain "Bahishti Darwaza Musalmanon pr Allah ki Khas Rehmat ka Mazhar Or is k Sahee o Sabit honey may koi Shuba nhi. Bayan e Fazeelat k Rawiyon may Tamam Siqa o Motaber hain Or is may Shak karna Zalalet Or Gumrahi hay" (Maqam e Ganj Shakar Az Captan Wahid Bakhsh Siyal Matbua Lahore P 206 to 210) Behishti Darwaza 9@ Is Fazilat ka yoon Mazaq Uraney Walon se k "Sara saal gunah kro aur Darwazey se guzar k Janati ho jao" Hamara ye Suwal hy k kis Zimmedar Aalim ne Apni kitab may yoon likha? Phir Agar Aitiraz Durust B ho to phir to ye Aitiraz Un Tamam Aayat o Ahadees pr B hoga jin may Qalil Amal pr Bakhshish ka Wada hy Jaisay "Jo koi 100 Bar Roz "Subhanallahi WabiHamdihi" Prhey to Samandar k Brabar B gunah hon to Muaf ho jaen (Aorad e Rehmani Az Thanwi) Behishti Darwaza 10@ Fazaail pr Quraan o Hadis ki Dalil Talab krney waley Pehley In Ibaraat pr Dalil Laaen 1-Wallahul Azeem Molwi Thanwi K Paun Dho kr Peena Nijat e Ukharwi ka Sabab hy (Qaail-Aashiq Ilahi Meerthi Kitab-Tazkiratur Rashid J-1) 2-May Sach kehta hun k Huzur (Rashid Gangohi) ki Raza ko Dalil e Qabul Or Wasila e Nijat Samajhta hun (Qoal-Ashraf Thanwi kitab-Tazkiratur Rashid J-1) 3-Ismail Dehalwi ne Apney pir Ahmed Raey Barelwi k barey may likha k Allah ne inka Hath apney Dast e Qudrat may pakar kr farmaya K Agar koi lakhokha B in ki Beat karey ga to Ham isko kifayet karen gy (Sirat e Mustaqim)