ISTiKHAARA @01 Istikhara Ka Matlab ALLAH Ki Baargah Sey Kisi Kaam Ke Shuru Karney Sey Qabal Mashwara Talab Karna Aadmi Jitna Apne Kaam Ke Lye Harees Hoga Utna Koi Aur Nahi Hosakta. Lihaza Behtar Ye Hey Ke Istikhaara Khud Karey. Behar Haal Iska Tafseelan Tariqa Majmooa Wazayef Me Bhi Mojud Hey ISTiKHAARA @02 Raat Ko Soney Sey Pehley 2 Rak'at (Jis Kaam Ke Lye Istikhara Karna Hey) Parhni Hoti Hen, Iske Baad Ek Istikharey Ki Dua Hey Jo Her PANJSOORA (Majmooa e Wazaif) Me Likhi Huwi Hey, Parh Ke So Jayen. Pehly Din Jawab Na Milney Ki Soorat Mey 3 Din Tak Ye Amal Karen Insha ALLAH Jawab Mil Jayega ISTiKHAARA @03 Agar Khuwab Me SUFAID (White) Ya SABZ (Green) Rang Ki Koi Cheez Nazar Aaye Maslan Sabz Gunbad, Ghaas, Sufaid Libas, Badal Ya Sufaid Baalon Wala Aadmi Etc To Ye Behtr Hy Agar SIYAH (Black) Ya SURKH (Red) Rang Ki Koi Cheez Chahy Ghilaf e Ka'ba Ya Raat Ka Andhera Dekhen To Ye Kaam Behtar Nhe ISTiKHAARA @04 ~ ISTIKHARAY Ki DUA ~ 7 Baar Jab Chahen Parhen. "ALLAHUMMA KHIRLI WAKHTARLI WALA TAKILNI ILAA IKHTIYARI" (Wazifatul Karima - AalaHazrat)