Niyaz Ki Haqeeqat # 01 Har AHL E AQIDAT RAJAB, MUHARRAM Me Ya Deegar Ayyaam Me Niyaz Wagera Karte Hen Aur Usey IMAM JAFFER ya IMAM HUSSAIN radiyALLAHu anhuma Ki Niyaz Ka Naam Dete Hen Jo Esaal e Sawab K Lye Hota He Aur Ye Jaaiz He Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 02 Ye ESAAL E SAWAB Ki Ek Shaakh He Jo Ke Jaaiz Aur Mubaah Hi Nahi Balke Mustahab Amar He Jis Ka Inkaar Mahaz JIHAALAT o ENAAD He Kyun Ke ESAAL E SAWAB QURAN o SUNNAT Aur AEMMA e KIRAAM Ke AQWAL Se Na Sirf Saabit He Balke Mashaik e Karaam Ka Is Par Amal Bhi Raha He Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 03 Q.Kya Esaale Sawab Jaaiz He? A.Hazrat Saad Ne Arz Ki SARKAR Meri Maa Ka Inteqal Hogaya To Konsa Sadqa Afzal He? Farmaya PAANI Ka! Unho Ne KuNWA[Well] Khdwaya Or Kaha Ye Saad Ki Maa Ka He (Abu Daud J1 P#236) (Musnad e Ahmed J5 P#275) Behiqee Snan Kubra J4 P#185 Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 04 Q.Kya Hamara Esaal e Sawab Puhanchta He? A. ALLAH Jannat Me Kisi Bandey Ke Darjaat Buland Karega To Wo Arz Karega, Aye ALLAH Ye Darja Kese Buland Hua? ALLAH Farmaye Ga Ke Tere Betey Na Tery Lye Istigfar Kya (Adab ul Mufrid P#30) (Ibn e Maja 268) (Tibrani Osat J5 P#349) Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 05 Q.Kin Ulama Ne Niyaz Ko Jaaiz Likha? 1.Sadru Sharia Molana Amjad Ali 2.Muhaddis e Azam Pakistan Molana Sardar Ahmed 3.Hakeem ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi (Kondey Ki Fazeelat) 4.Molana Abdul Mustafa Aazmi(Jannati Zewar P#389) 5.Mufti Khalil Khan Qadri W Deegar Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 06 Q.Kya Niyaz FARZ He? A. Niyaz Karna FARZ ya WAJIB To Nhe Lekin MUSTAHAB Amal Zarur He Karne Wala Sawaab Paaye Ga Lekin Na Karne Par Gunaah Nhe Magar Jo Isey Haraam Kehte Hen Wo Ek Naik Amal Se Roktey Hen Unhe Chahye Ke Apna QIBLA Durust Karlen, ALLAH Hidayat Dey Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 07 Q.Maah e Muharram Me RAAFZI (Shia) Bhi Niyaz Kartey Hen, To Is Surat May Niyaz Karna Kesa..? A. Shari'at Ka Usool He Ke K Kisi Achey Amal Ko Bad Mazhab Apna Len To Is Waja Se Usey Tark Nhe Kya Jaaye Ga Balke Koi Aisa Imtyaz Karna Hoga Jis Se Faraq Zaahir Ho Jesey 10 Muharram Ka Roza Yahodi Rakhtey To Sarkar Ne 9 ya 11 Ke Roze Ki Talqin Bi Farmayi Cont.. Niyaz Ki Haqeeqat # 08 Q.Kya NIYAZ Ki Mumaniat He? A.Quran o Hadis Me Kahin Niyaz Ki Mumaniat Nhe Balke Quran Me Irshad: "To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya, Agar Tum Uski Aayaten Maantey Ho" (Al-In'am V#118) Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya, Jese NIYAZ Par FATIHA Dete Waqt Quran Parha Niyaz Ki Haqeeqat # 09 HALAAL Cheezen Na Khaney Walo Ko Tambeeh!! 'Aur Tumhe Kya Hua He K Is Me Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya Halaan Ke Wo Tum Par Tafseel Se BAYAN Kar Chuka He Jo Is Ne Tum Par HARAAM Farmaya' (Al-In'aam V#119) Aur Niyaz Par Jo FATIHA Dete Hen Wo Qur'an Se Hi He Cont... Niyaz Ki Haqeeqat # 10 Q.Halaal Khane Ko Haram Kehna Kesa? A. Aur ALLAH Ne Unhe Jo Rozi Di, Wo Usey Haraam Thehratey Hen ALLAH Pr Jhoot Bandhte Hue, BeShak Wo GUMRAH Hue (Al-An'aam V#140) Agar FATIHA Di Aur Khana Haraam Hua To Phir To Har Khaana Haraam Hua Ke BISMILLAH To Parhi Hi Jaati He