Qazaa Namaz @01 "Un Namaziyon Ki Kharabi He Jo Apni Namaz Se Bhoole Bethe Hen" (Maa'un Ayat#05) Yahan Murad Wo Log Jo Namaz Qaza Karen (Sunan Kubra V2 P#213) Qazaa Namaz @02 Jahannum Me Ek Waadi "Wail" He Agar Pahar Us Pr Daalen To Uski Garmi Se Pighal Jaen, Qaza Karne Wale Uske Mustahiq Hen (Kitabul Kabaair P#19) Qazaa Namaz @03 Farz Namaz Ke Waqt Sojane Wale Shakhs Ka Sar Baar Baar Pathar Se Kuchla Jaata He Aur Ye Azaab Qayamat Tak Dya Jata Rahega (Bukhari V2 P#1043) Qazaa Namaz @04 #Umar Bhar Ki Qazaaen# Jis Ne Kabhi Namazen Hi Na Parhi Hon Aur Ab Toufiq Hui Ho, To Jab Se Baalig Hua He Us Waqt Se Namazon Ka Hisaab Lagaye Agar Taarikh e Baloogat Nahi Malum To Ahtiyatan Aurat - 9 Saal Mard - 12 Saal Ki Umar Se Namazon Ka Hisaab Lagaaye. (Fatawa Razawiya V8 P154) Qazaa Namaz @05 #Tarteeb# Yun Bhi Karsakte Hen Ke Pehle Tamam Fajaren Ada Karlen, Phir Saari Zohar, Phir Asar...etc (Alamgiri V1 P#109) (Fataawa Qazi Khan) Qazaa Namaz @06 #Tareeqa# Qaza Har Roz Ki 20 Rak'aten Hen Faraiz Aur Witar; 2 Fajar 4 Zohar 4 Asar 3 Magrib 4 Isha 3 Witar Niyyat; (Masalan Fajar Me:) "Sab Se Pehli Fajar Jo Mujhse Qaza Hui Usko Adaa Karta Hun" Isi Tarah Har Namaz Ki Niyyat Jis Pr Zyada Qaza Hon Uske Lye Next Sms Me Takhfif Batate Hn Qazaa Namaz @07 #Takhfeef# Aasaani Ke Lye Ruku Aur Sajde Me 3 Martaba Tasbeeh Ki Jaga Sirf Ek Martaba Tasbeeh Parhen. Magar Ek Baar Tasbih Sahi Tariqe Se Adaa Ho 4 Farz Wali Namaz Ki Teesri Aur Chothi Rak'at Me Sura Fatiha Ki Jaga Sirf 3 Baar SUBHANALLAH Keh Kar Ruku Karley (Fatawa Razawiya V8 P157) Qazaa Namaz @08 Qa'eda Akhira Me Tashahhud Ke Baad Sirf Itna Parh Kar Salaam Pher Dey "ALLAHUMMA SAALE ALAA MUHAMMADIN WA AALIH" (Fatawa Razawiya V8 P154) Qazaa Namaz @09 Witar Ki Teesri Rak'at Me Takbeer Ke Baad Dua e Qunoot Ki Jaga Sirf 1 Baar Ya 3 Baar RABBIG FIRLEE Kahey (Fatawa Razawiya V8 P154) Qazaa Namaz @10 #Jald Se Jald# Qaza Jald Mukammal Karna Wajib He Magar Sirf Karobaar Aur Deegar Zaruryaat Ke Sabab Ta'kheer Jaiz He (Durr e Mukhtar V2 P#646) Qazaa Namaz @11 Fajar Aur Asar Ke Faraiz Ke Baad Tamam Sunan w Nawafil Makruh e Tehrimi Hen Lihaza In Auqat Me Qazaa Namazen Na Parhe (Durr e Mukhtar V1 P#61) Qazaa Namaz @12 Agar Niyyat Karte Hue Lafz "Qazaa" Kehna Bhool Gaya To Bhi To Koi Harj Nahi, Shart Ye He Ke Niyyat Qazaa Hi Ki Ho. (Fatawa Razawiya V8 P#161) Qazaa Namaz @13 Qaza Namazen Nawafil Se Ahem Hen. Lihaza Nawafil Ke Bajaye Qaza Parhe Albatta Sunnat e Moakkada O Taraweeh Na Chorey (Raddul Mukhtar V1 P#536) Qazaa Namaz @14 Qaza Chup Kar Parhye, Kisi Ke Saamne Tazkira Mat Kijye (Raddul Mukhtar 2/650) Logo Ki Mojudgi Me Witar Qazaa Me Takbeer Ke Lye Hath Na Uthaen Qazaa Namaz @15 Jummatul Wida Ke Din Zohar o Asar Ke Darmian Kuch Nawafil Parhne Ki Targeeb Di Jaati He Aur Kaha Jata He Ke Qaza Namazen Muaf Hojaen Gi, Ye Baat Durust Nahi, Chahe Kitni Nafli Ibadaat Karen, Qaza Namazon Ka Parhna Har Haal Men Zaruri Hai. Faraaiz Ki Adaaigi Main Chhoot Nahi Hoti.