Radd e Maatam @01 Aaj Kal Ahl e Beat Ki Muhabbat Ke Da'wey Daar Be Ilm Musalmano Ko Maatam Par Uksaatey Hen Aur Tarah Tarah Ke Fazail Suna Kar Maatam Ko Ahl e Beat Ki Muhabbat Ki Daleel Kehte Hen. Aaiyye! Is Mas'aley Ko Tafseel Sey Samajhye Pehle Iska Mafhum, Phir Shia Kutub Sey Bi Dalail Mulahiza Hon Radd e Maatam @02 #Meaning# Mash'hur Aarbic Dictionary Me Maatam Ke Ma'ana; Soggh Karna Gham Karna Rona Aur Peetna (..Harf e Meem V#12 P#4) Radd e Maatam @03 Shariyat Ne Kisi Ke Intiqaal Ke Waqt Sogh Karney, Us Par Gham Karney, Be Ikhtiyaar Aansoo Bahaney (Isey Sharyi Maatam Kehte Hen) In Kaamo Ko Jaaiz Rakha, Bulkey Is Kaam Par ALLAH Ajar Bhi Ataa Farmata Hey Aur Ye Kaam Nabi Paak Alaihissalatuwassalaam Aur Aimma e Ahl e Beat Sey Saabit Hey, Iske Bar'aks Muriwwaja Maatam (Jaza o Faza, Peetna, Zanjeer Zani, Seena Kobi etc) Ye Sab Na Nabi Paak Alaihissalam Sey Na Ahl e Beat Sey Saabit Hen. Radd e Maatam @04 Jab Hazrat Ibrahim RadiyALLAHu Anhu (Nabi Paak Ke Sahibzaadey) Ka Intiqal Hua To Huzoor Alaihissalatuwassalaam Roye Yahan Tak Ke Aapki Darhi Mubarak Ansuwon Sey Tarr Ho Gayi. Arz Ki Gayi; Ya RasoolALLAH! Ap To Rone Sey Mana Farmate Hen Aur Khud Ro Rahey Hen? Farmaya; "Ye Aah o Bakaa Nahi Bulkey Rehmat He Aur Jo Kisi Par Reham Na Karey Us Par Reham Nahi Kya Jaata" (Shia Book AMAALI Lie-Toosi V#1 P#298 Al'Juz-e-Salis Ashara) Malum Hua Ke Peetna etc Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Na Kya Aur Aapse Jo Suwal Hua Us Sey Ye Bhi Malum Hua Ke Aap Ne In Kaamo Sey Mana Farmaya Hey. Radd e Maatam @05 Imam Jaffer Sadiq; "Jab Hazrat Ibrahim Ne Dunya Sey Rehlat Farmayi To Nabi Paak Ki Aankhon Sey Aansoo Behne Lagey, Farmaya; "Aankhen Pur Namm Hen Aur Dil GhamNaak He Aur Me Nahi Kehta Koi Cheez Jo ALLAH Ke Ghazab Ka Baais Ho" Phir Apne Betey Sey Mukhatib Hue; "Hum Teri Wafaat Par Ghamgeen Hen" Shia Books; 1) Muntahiyul Aamaal V#1 P#127 Dar Bayane Ahwaal e Aqriba Hazrat Rasool 2) Man, Laa Yahdaruh ul Faqeeh V#1 P#113 Baab Fi-Taziyat Wal Jaza'a Indal Musibah} Jab Huzur Ne Apne Lakht e Jigar Ke Wisal Par Murawwija Maatam Na Kya To Ishq e Hussain Ke Jhoote Da'wey Daar Kyu Karte Hen? Radd e Maatam @06 Imam Jaffer Sadiq; "Jis Par Musibat Aaye To Wo RASOOL e KHUDA Sallallaho alaihiwasallam Ki Musibaton Ko Yaad Karey Kyun Ke Wo Sab Sey Bari Musibat Thi (Jo Nabi Paak Par Aayin) (Shia Book; Firou e Kaafi V#3 P#220 Kitab ul Janaiz Baab e Taziyat) Yahan Sabar Ka Hukm He Par IMAM Jaffer Ki Nisbat Se Khud Ko Jafferi Aur Fiqah e Jafferiya Ke Nifaaz Ki Baat Karne Waley Muharram Me Peet'te Hen..!! Kyun Kya Ye Sikhaya Imam Jaffer Saadiq Ney? Radd e Maatam @07 Moutabar Sanad Ke Saath Jaabir Ansari Ne Riwayat Kya Ke RASOOL E PAAK Ney Apne Marz e Wisaal Me BiBi Fatima Sey Frmaya; "Aye Fatima!, Sun Lo!! Pegambar Ki Khaatir Girebaan Nahi Phaarne Chahyen, Munh Na Nochna Chahye, Wawela Nahi Karna Chahye, Lekin Agar Kuch Karna Ya Kehna Ho To Wohi Jo Tumhare WAALID Ney Apne Bety IBRAHIM Ki Wafaat Par Kaha, Ke Aye Betey! Aankhen Roti Hen Aur Dil Dukhi Hey Lekin Koi Aisi Baat Na Kahun Ga Jis Sey ALLAH Naraz Hota Ho. Aye IBRAHIM! Hum Teri Khatir Sadma Utha Rahey Hen. Agar IBRAHIM Zinda Rehta To Nabi Hota" (Shia Book; Jilaa ul Uyoon V#1 P#91 Sharah e Wiqai Ke Nazdeek Irtihaal e Aan'Hazrat Rukh Daad "Farsi") Ye Maatam Ke Na Jaaiz Honey Par Waazeh Daleel Hey, Is Me Gour Karen To Buhat Kuch Milega Radd e Maatam @08 Imam Jaffer Sadiq; "Rasool e Paak Alahissalatuwassalam Ne Farmaya; Musibat Ke Waqt Musalman Ka Apne Hath Raano Par Marna Uske Ajar o Sawab Ko Zaaya Karta Hey" (Firou e Kaafi V#3 P#224 Kitab ul Janaiz Baab u Sabari Wal Jaza'a ila Akhirihi) Ab Sochen Noor (Nabi) Ki Maanen, Ya Kaalon Ki? Radd e Maatam @09 Nabi Paak AlaihisalatuwasSalam Ne BiBi Fatima Sey Farmaya; Beti..! Jab Me Intiqaal Kar Jaun To Meri Wafaat Par Apna Munh Na Peetna, Apne Baal Na Kholna Aur Shour Na Karna Aur Na Hi Mujh Par Nouha Karna (Shia Book Firou e Kaafi V#5 P#527 Kitab ul Nikaah Baab Safatu Mubaiyat u Nabi) Radd e Maatam @10 Imam Jaffer Sadiq; "Be Shak Sabar Aur Musibat Donu Momin Ki Taraf Aatey Hen. Jab Koi Musibat Momin Par Aati Hey Wo Us Waqt Intehayi Sabar Karne Wala Hota Hey, Aur Jaza o Bala Aagey Peechy Kaafir Ke Paas Aati Hen Jab Uskey Paas Musibat Aati He To Wo Intehayi Rone Peetny Wala Hota Hey. (Shia Book; Firou e Kaafi V#3 P#223 Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa) Khud Ko Mo'min Kehne Waley Blackies Is Par Amal Chorr Detey Hen Radd e Maatam @11 Imam Baaqir; "Jis Aadmi Ko Koi Musibat Aaye Phir Wo INNA LILLAHI WA INNAA ILAIHI RAAJIOON Kehta Hey Aur Us Musibat Par Sabar Karta Hey To ALLAH Uskey Sab Gunaah Muaf Kar Deta Hey Aur Banda Jab Kisi Guzri Musibat Ko Yaad Kar Ke Yun Kahey To ALLAH Uskey Wo Tamam Gunaah Muaf Kar Deta Hey Jo Usne Musibat Ke Aaney Ke Waqt Sey Ye Dua Parhne Tak Kye Honge. (Shia Book; Firou e Kaafi V#3 P#224 Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa) Radd e Maatam @12 Imam Ali Ausat (Zain ul Aabideen); Sabar Ka Maqaam Imaan Me Aisa Hey Jesa Ke Sar Ka Aadmi Ke Jism Mey. Wo Be Imaan Hey Jis Me Sabar Ki Sifaat Nahi (Shia Book; Jami ul Akhbaar V#1 P#132 Al'Fasl ul Haadi Was-Sabuoon Fi-Sabar) Radd e Maatam @13 Moula Ali; Sabar Ka Nuzool Musibat Ki Miqdaar Par Hey (Ya'ni Jitni Bari Musibat Aye Utna Hi Bara Sabar Chahye Hota Hey) Jis Ne Musibat Ke Waqt Apni Raano Par Hath Marey, Uske Tamam Ache A'maal Zaya Hogaye (Shia Book; Nahjul Balaga P#495 Baab ul Mukhtar Min Hukmi Ameeril Mo'minin O#144) Radd e Maatam @14 Moula Ali Ne Jaffer Abi Talib Ki Shahadat Pr Bibi Fatima Sey Kaha; "Kisi Ki Mout Par, Kisi Ke Douran e Jang Shaheed Hone Par Gham Karte Hue Wawela o Maatam Na Karna" (Man-Laa Yahzaruh ul Faqeeh Fil Ezai Wal Jaza'a Indal Musibah Taziyat wal Jaza P#56) Jo Me Ne Kaha, Wo Such He. (P#116) Radd e Maatam @15 Moula Ali Nabi Pak Ko Ghusal Dete Waqt; "Mery Maa Baap Ap Par Fidaa! Apki Wafaat Sey Nubuwwat, Wahi, Aasman Ki Khabren Munqata Huin. Jo Ke Apke Gair Ki Wafaat Sey Na Huin, Ap Musibat Puhchane Par Makhsus Hue Yahan Tak Ke Apne Gair Ki Musibat Sey Hume Mut'main Kya (Apke Wisal Sey Jo Musibat Hum Par Pari, Apke Gair Sey Nahi) Agar Aap Sabar Ka Hukum Na Detey, To Hum Ansuwon Ko Inteha Tak Puhncha Detey. (Nahjul Balag P#355 Khutba#225) Radd e Maatam @16 Imam Hussain; Aye Sakina Tu Buhat Jald Merey Paas Aa Taa Key Me Tujhe Is Tarah Widaa Karun Jesey Marne Wala Widaa Kya Jata Hey. Me Tujhe Wasiyyat Karta Hun Is Farzand e Sagheer Ke Baarey Me Aur Iske Eyaal o Yatimo Aur Hamsayo Ke Baab Me Ke Sab Key Sath Naik Sulook Karna Aur Jab Me Qatal Ho Jaun To Tum Apni Chaadar Aur Gireban Mat Phaarna Aur Naala o Faryad Kar Key Na Rona. Balke Aye Sakina Hukm e ILAHI Par Sabar Karna Kyun Ke Hum Sahibaan e Sabar o Ahle Ehsaan Hen Muje Apne Baap,Daada Aur Bhai Ki IQTIDAA Karni Chahye. (Zibah e Azeem P#288 Janab Hussain Ki Tanhayi Aur Bekasi Key Halaat) Radd e Maatam @17 Imam Hussain Jab Madina Paak Sey Koofa Jaane Ke Lye Makkah Ki Taraf Rawana Hue, Us Waqt Bani-Hashim Ki Aurton Ki Be-Qarari,Aah o Figaan Suni To Farmaya; "Me Tumhe Khuda ki Qasam Deta Hun, Sabar Ko Ikhtiyar Karo Aur Jaza'a (Murawajja Matam) o Betaabi Se Hath Uthalo (Jilaaul Uyoon P#515) Radd e Maatam @18 "Hadis Paak Me He Ke Ginaa IBLEES Ka Nouha Hey, Maatam Isne Behshat Ki Judai Me Kya, Nabi Ne Farmaya; >Maatam Karne Wala Qayamat Me Kuttey Ki Tarah Aaye Ga >Maatam o Marsiya Khuani Zinaa Ka Mantar Hey (Shia Book; Majmaul Ma'aarif Bar Haashiya Hilyatul Muttaqeen P#126 Hurmat e Ginaa)