@SALTANAT-e-MUSTAFA@ 01 # Ahlesunnat Ka Aqeeda # Har Cheez Ka Haqeeqi Maalik ALLAH Hey. Us Ney Apni Ataa Sey Sarkar Ko > > Kounain Ka Hakim, > Saari Khudayi Ka Waali Banaya > Sab Khazany Huzur Ke Paas Hen > Jo Chahy Ataa Farmaen > Jo Chahy Halal Ya Haram Farmaen Aagey Unke Dalaail Paish Kye Jayenge @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 02 "Aur Unhen (Ya'ni Kuffar-o-Munafiqeen Ko) Kya Bura Laga ? Yahi Na Ke ALLAH o Rasool Ne Unhen (Musalmano Ko) Apne Fazal Se Ghani Kar Dya" Ma'lum Hua Sarkar Bhi Logon Ko Ghani Aur Maaldaar Farmatey Hen Aur Dusron Ko Ghani Wohi Karega Jo Khud Maalik Ho @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 03 "Aye Mehboob ! Yaad Karo Jab Tum Farmatey They Us Sey Jise ALLAH Ne Ne'mat Di Aur (Aye Nabi) Tum Ne (Bhi) Usey Ne'mat Di" (Sura e Ahzaab Aayat#37) ALLAH Ghani Karta, Ataa Karta, In'aam Farmata Hey Aur ALLAH Ke Fazal Se Uske Nabi Bhi Ghani Karny, Ataa Karny, In'aam Karny Waly Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 04 "Jo Kuch Tumhe Rasool Ataa Farmaen Wo Lo Aur Jis Se Mana Farmaen (Us Se) Baaz Raho" (Sura e Hashar Aayat#7) Sarkar Mukhtar e Kull Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 05 "Be Shak Hum Ney Aapko Be Hadd o Hisab Ataa Kya" (Sura e Kousar P#30 Aayat#1) ~Aap Ko Rabb Ne Kaha Saahib e Khair e Kaseer~ ~Ye Laqab, Ye Martaba Saahib e Khair e Kaseer~ ~Main To Maalik Hi Kahun Ga Ke Ho Maalik Ke Habib~ ~Ya'ni Mehboob o Muhibb Me Nahi Mera Tera~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 06 Quran Se Dalaail Paish Kiye, Ab Ahadees e Mubaraka Mulahiza Hon > Mafhum e Hadis: Be Shak ALLAH Dene Wala He Aur Me TAQSEEM Karta Hun (Bukhari J#1 P#439) (Muslim J#1 P#333) Rabb Hey Mo'ati (Ataa Karney Wala), Ye Hen Qaasim (Taqseem Karney Waley) Rizq Uska Hey, Khilatey Ye Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 07 Hazrat Jaabir Farmatey Hen ; "Kabhi Aisa Na Hua Ke Rasoolullah Sey Kisi Cheez Ka Suwal Kya Gya Ho Aur Aap Ne "Laa" Ya'ni "Nahi" Farmaya Ho (Muslim V#2 P#253) (Bukhari V#2 P#891) ~ Waah Kya Jood o Karam Hey Shah e Batha Tera ~ ~ "Nahi" Sunta Hi Nahi Maangney Wala Tera ~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 08 Sarkar Ek Din Uhad Walon Ke Paas (Mazar Pr) Nikly, Namaz Parhi, Phir Mimber Par Loutey, Farmaya; "Me Aagey Jane Wala Hun, Aur Men Tum Per Gawah Hun, Me Apne Houz Ki Taraf Bhe Dekh Raha Hun, Aur Zameen Ke Khazano Ki Kunjiyan Mujhe Di Gayin, Or BaaKhuda Muje Iska Khouff Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lago Gy, Lekin Darr Hy Tum Dunya Ke Ragbat Me Ek Dusrey Se Muqabla Karogy" (Bukhari H#1261 - Janazey Ka Baab) (= 1/179) Gour Kijye To Is Sy >Urs Manana >Ikhtiyar e Mustafa >Hazir Nazir >Elm e Gaib >Hayaat Ye Sab Sabit Hua, Phir Ye Bhi Bata Dya Ke Jo Ye Aqeeda Rakhy Wo MUSHRiK Nahi @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 09 Abu Huraira Ney Arz Ki; "Ya RasoolALLAH ! Aap Sy Buhat Kuch Sunta Hun Magar Bhool Jata Hun Farmaya; Apni Chaadar Phelao, Aap Ne Dono Hathon Sy Chullu Bana Kr Chaadar Me Kuch Daala Or Kaha Isey Upar Lapait Lo, Me Ne Lapait Lya, Iske Baad Me Koi Hadees Na Bhoola (Bukhari V1 P#22) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 10 "Beshak Me Zameen Ke Tamam Khazano Ki Chabiyaan Dya Gaya Hun" ( Bukhari V#2 P#558 ) ( Muslim V#2 P#250 ) "Mujhey Zameen Ke Tamam Khazaney Dye Gaye Hen Aur Wo Mery Haath Me Rakh Dye Gaye Hen" (Bukhari V#2 P#1042) (Muslim V#2 P#244) "Mujhey Har Cheez Ki Kunjiyaan De Di Gayeen Hen" (Masnad Imam Ahmed) (Khasaais ul Kubra) ~ Kunji Tumhen Di Apne Khazano Ki KHUDA Ney ~ ~ Mahboob Kya, Maalik o Mukhtaar Banaya ~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 11 # Sahaba Ka Huzoor Sey Maangna # Ek Martaba Huzoor Alahissalam Ny Hazrat Rabee'a Sey Khush Hokar Farmaya ; Maang Kya Maangtey Ho ? Arz Ki ; Me Aap Se Ye Maangta Hun Ke Jannat Me Aapka Saath Ho Farmaya: Iske Ilawa Bhi Aur Kuch ? Arz Ki ; Bus Mujhe Yahi Kaafi Hey (Muslim 1/193) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 12 # Chaand Par Hukoomat # Ahl e Makkah Ney Huzoor Alaihissalam Se Suwaal Kya Ke Aap Apna Koi Mojiza Dikhlayen, To Aap Ne Unhe Chaand Ke 2 Tukre Kar Ke Dikhaya (Bukhari 1/513) ~ Sooraj Ulte Paaun Paltey Chaand Ishaarey Se Ho Chaak Andhe Najdi Dekh Ley Qudrat Rasoolullah Ki ~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 13 # Khazaaney # "ALLAH Ney Merey Lye Zameen Samait Di, Pas Mey Ne Zameen Ke Mashriqon Aur Magribon Ko Dekh Lya" (Muslim H#2889) (Tirmizi H#2182) (Ibne Maaja H#3952) (Abu Dawood H#4252) (Nisaai H#1637) Aagey Farmaya ; ALLAH Ne Mujhe Surkh-o-Sufaid 2 Khazaney Ata Kye (Muslim 2/390) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 14 # Pahaaron Par Saltanat # "Me Chahun To Mere Saath Soney Ke Pahaar Chalen" (Mishkat P#521) Bat'ti Hy Konain Me Ne'mat Rasoolullah Ki @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 15 Hazrat Abbas Ney Huzoor Maalik e Koun o Makaan Alahissalatu Wassalaam Sey Arz Ki ; "Me Ney Dekha (Bachpan Me) Aap Gehwary Me Letey Chaand Sey Baaten Kar Rahey They Aur Jis Taraf Aap Ungli Sey Ishaara Kartey, Chaand Us Taraf Ho Jaata" (Baheqi) (Ibn e Asakir) (Khasaais ul Kubra) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 16 Huzoor Alahissalatu Wassalaam Ne 6 Sahaba Ek Hi Din Mukhtalif Mulkon Ke Baadshahon Ki Taraf Rawana Farmaye To In Me Sey Har Ek (Bagair Seekhey, Parhey) Us Mulk Ki Zuban Me Guftugu Karny Laga Jis Mulk Ki Taraf Usko Rawana Farmaya Tha (Khasaais e Kubra 2/2) (Shifa Shareef 1/208 ) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 17 Mafhum e Hadees ; "Hum Ne Girhan Ki Namaz Me Jannat Ko Dekha Aur Uska Khosha (Ghuccha) Pakra, Agar Hum Wo Khosha Torr Lety To Qayamat Tak Usko Khatey Rehte" (Muslim 1/296) Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Un Se Mila, Bat'ti Hey Konain Me Neamat Rasoolullah Ki @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 18 # Namaz Muaf Karwayi # Har Musalman Jaanta Hey Ke Musalman Par 5 Namazen Farz Hui Na In Me Kami Ho Sakti Hey Na Zyadati, Lekin Sarkar Alaihissalam Ne Ek Shakhs Ki 3 Farz Namazen Muaaf Farma Di (Abu Dawood 1/67) Goya Khaaliq e Kull Ne Aapko Shariyat Ka Bhi Maalik Bana Dya @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 19 Hazrat Habib Ke Walid Ki Aankhen Saanp Ke Andon Par Paaun Aaney Ki Waja Sey Sufaid Ho Gayeen Aur Unhen Donu Aankhon Sey Kuch Nazar Na Aata, Huzoor Ney Inki Aankhon Me Apna Luaab-e-Dahan Daal Dya To Wo Beena Ho Gaye Aur Sab Kuch Nazar Aaney Laga, Dekha Gaya Ke Wo 80 Saal Ki Umar Me Bhi Suii Me Dhaaga Daalty Thy (Baheqi) (Tibrani) (Shifa Sharif 1/213) (Khasaais e Kubra 2/69) Inke Haath Me Har Kunji Hy Malik e Kull Kehlatey Ye Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 20 Huzoor Ny Ek Gazwa (7 Hijri) Me 1 Chashmey Pr Nuzool Farmaya Arz Ki Gayi ; IsKa Naam BAISAAN Hy Aur Iska Paani Namkeen Hy Farmaya ; Bulkey IsKa Naam NOMAAN Hy Aur Iska Paani Meetha Hy To Wo Chashma Meetha Ho Gaya (Shifa Shareef 1/218 ) Wo Zubaan Jisko Sab KUN Ki Kunji Kahen.. @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 21 Abdullah Bin Anees Farmaty Hen ; "Ek Yahudi Ney Mery Chehry Par Aisa Zakham Maara Ke Sarr Ki Haddiyaan Tak Khul Gayeen, Me Usi Haal Me Sarkar Ki Khidmat Me Hazir Hua, Huzoor Ne Zakham Par Apna Luaab e Dahan Daal Dya Iske Baad Mujhe Bilkul Takleef Na Hui (Tibrani) (Khasaais 2/70) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 22 Jang e Badar Me Abu Jehal Ne Hazrat Muaz Ka Haath Kaat Daala, Wo Apna Hath Uthaye Hazir Huey Huzoor AlaihissalatuwasSalam Ny Is Par Apna Luab e Dahan Laga Dya Aur Isey Mila Dya, Wo Usi Waqt Jurr Aaya Aur Aisa Ma'lum Hota Ke Kabhi Kataa Hi Na Tha (Shifaa Shareef 1/213) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 23 Fatah e Khebar Ke Waqt Hazrat Ali Ki Aankhen Shadeed Dukh Rahi Thin, Huzur Ny Apna Luaab Mubarak Inki Aankho Me Daala, Dua Farmayi. Wo Tandrust Hogaye Goya Kabhi Dard-e-Chashm Hua Hi Na Tha (Bukhari 2/606) JisKe Paani Sy Shadab Jaan o Jinaan Us Dahan Ki Tarawat Py Lakhon Salam @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 24 Huzoor Ne Apna Dast e Aqdas Paani Ke Ek Bartan Me Rakh Dya, To Aapki Ungliyon Sy Paani Ke Chashmy Phoot Nikly Jis Sy Logo Ny Wuzu Kya Hazrat Qatada Ny Hazrat Anas Sy Pucha ; Kitne Aadmi Thy? Farmaya ; 300 (Bukhari 1/504) ~ Naddiyaan Punjab e Rehmat Ki Hen Jaari Waah Waah ~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 25 Hazrat Huzaifa ; "Huzoor Ne Qayamat Tak Jo Kuch Honey Wala Tha Wo Sab Bayaan Kar Dya, Jisey Yaad Raha, Yaad Raha Jo Bhool Gaya, BhooL Gaya (MusLim 2/390) Sar-e-Arsh Par Hey Teri Guzar, DiL-e-Farsh Par Hey Teri Nazar ~ Malakoot o Mulk Me Koi Shey, Nahi Wo Jo Tujh Pe Ayaan Nahi @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 26 Al-Qur'an ; "Hum Dekh Rahey Hen Baar Baar Tumhara Aasman Ki Taraf Munh Karna To Zarur Hum Tumhen Pher Den Gey Us Qibla Ki Taraf Jis Me Tumhari Khushi Hey (Surah e Baqarah Aayat#144) Rabb Ko Apne Mustafa Se Pyar Kitna Dekhye, Khaana e Ka'aba Ko QIBLA Keh Dya To Hogaya @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 27 Al-Qur'an: "Aur Beshak Qareeb Hey Ke Tumhara Rabb Tumhen Itna Dey Ga Ke Tum Raazi Ho Jao Gey (Surah e Duhaa Aayat#5) Aur Huzur Raazi Kb Hongy? Yaqeenan Apni Ummat Ko Bakshwa Kar, Kitna Buland Martaba Hey > Khuda Ki Raza Chahtey Hen Do Aalam ~ Khuda Chahta Hey Raza e Muhammad @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 28 "Mehboob Hum Ny Aapko Kousar Dy Dya" (Sura e Kousar A#01) Kousar Sey Murad Houz e Kousar, Buhat Bhalayi, Buhat Ummat, Maqam-e-Mehmood, Shafa'at-e-Kubra, Sab Khalqat Pr Buzurgi, Kuch Bhi Murad Ho Rabb Ney Dya Or Buhat Kuch Dya Or Mehboob Ny Lya Jis Sey Unka Malik Hona Lazim Aaya @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 29 Hazrat Jabir Ke Ghar Gosht Me Huzoor Ne Apna Lu'aab-e-Dahan Daala To Wo Gosht Senkaron Aadmiyon Ne Khaa Lya Magar Na Gosht Kam Hua Na Aata or Na Roti Pakane Wali Bibi Ko Pakaney Me Kuch Thakan Mehsoos Hui (Mishkat - Babul Mojizaat) ~ Aap Ne Qatrey Ko Darya Keh Dya To Hogaya ~ @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 30 Huzur Alaihissalatu Salaam Ney Ek Boorhi Aurat Ko Bula Kar IsKe Mashkeezy Ka Munh Sahaba Ke Lye Khol Dya, Wo Paani Sabko Kaafi Hua Sab Ny Apny Bartan Bhar Lye Aur Khoob Pee Lya Magar Mashkeeza Usi Tarhan Bhara Raha (Mishkat - Babul Mojizaat) ~ Do Aalam Pe Jaari Hukoomat Tumhari @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 31 "Hum Ny Girhan Ki Namaz Me Jannat Ko Dekha Aur Iska Khosha Pakra, Agar Chahty To Khosha Torr Lety To Tum Isey Qayamat Tak Khatey Rehty (Mishkat - Baab us Salat AlKhashf) Pas Saabit Hua Ke Huzoor AlaihissalatuWasSalaam Dunya Me Reh Kar Bhi Jannat Ki Har Cheez Ke Maalik Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 32 Hudaibia Ke Kunwey Me Paani Buhat Kam Tha, Huzur Ny Pani Me Teer Daala Jis Sy Kunwey Ka Pani Zyada Ho Gaya (Mishkat - Baab ul Mojizat) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 33 # Jaanwaron Par Saltanat # Hazrat Abu Talha Ke Arryal Ghorey (Horse) Par Ek Baar Huzoor Alaihissalam Ney Suwari Farmayi To Wo Ghora Hamesha Ke Lye Acha Hogaya Aur Phir Kabhi Na Arra (Mishkat - Baab ul Mojzaat) Inhi Sy Karti Hen Chiryaan Faryaad ~ Inhi Sy Chahati Hy Hirani Daad @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 34 Ek Shakhs Bayen (Left) Haath Sy Khana Kha Raha Tha Huzur Ne Isey Dahiny (Right) Haath Sy Khany Ke Lye Farmaya Kaha ; Mera Haath Bekaar Hy Farmaya ; Tu Aaj Ke Baad Seedhy Haath Sy Na Khaa Sakega Phr Uska Haath Aisa Bekar Hua Ke Kabhi Munh Tk Na Aasaka (Mishkat - Baab ul Mojzat) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 35 # Adab Ki Ta'leem # "Aye Iman Walo ! ALLAH Aur Uskey Rasool Sey Aagey Na Barho, Beshak ALLAH Sunta Janta Hy" (Surah e Hujraat Aayat#1) Bataya Gaya Ke Koi Musalmaan ALLAH Ke Habeeb Alaihissalatuwassalaam Sey Kalaam Mey, Chalney Mey, Gharz Kisi Bhi Baat Me Nabi Sey Aagey Na Ho @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 36 # Aawaaz Past # "Aye Iman Walon! Apni Aawazen Oonchi Na Karo Ghaib Batany Waly NABI Ki Aawaz Sey Aur Unky Huzoor Baat Chilla Kar Na Kaho, Jesy Aapas Me Ek Dusrey Ke Saath Chillaty Ho, Kaheen Tumharey A'amal Barbaad Na Ho Jayen Aur Tumhen Khabar Bhi Na Ho (Sura e Hujraat Aayat#2) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 37 # Aawaaz Past Karne Walon Ko Bishaarat # Al-Qur'an ; "Beshak Wo Jo Apni Aawazen Past Karty Hen Rasoolullah (Alaihissalatuwassalam) Ke Paas, Ye Wo Hen Jinka Dil ALLAH Ney Parhezgaari Ke Lye Parakh Lya Hey. Inky Lye Bakhshish Aur Bara Sawab Hey" (Sura e Hujrat Aayat#3) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 38 "Aur Tumhen Haajat Mand Paaya Phir Ghani Kar Dya" (Sura e Duhaa A#8 ) "....Rabb Tumhen Itna Dega Ke Tum Raazi Ho Jaao Gey" (A#5) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 39 # Maalik e Shariyat # "Aur Kuffar In Cheezon Ko Haraam Na Manty Jo ALLAH Aur Usky Rasool Ney Haraam Farmayin" (Sura e Touba Aayat#29) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 40 # Banda e Nabi # "Farma Do Aye Mehbob ! Aye Mery Wo Bandon Jinho Ney Apni Jaano Par Zyadti Ki, ALLAH Ki Rehmat Sey Na Umeed Na Ho. (Sura e Zumar Aayat#53) Ma'loom Hua Ke Huzoor Alaihissalam Ko Ijazat Di Gayi Ke Jahan Bhar Ke Musalmanon Ko Apna Banda Ya'ni Ghulam Farmayen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 41 Al-Qur'an ; "Aye Iman Walon ! ALLAH Aur Usky Rasool Ke Bulaney Par Foran Haazir Hojao Jab Tumko Bulayen" (Sura e Anfal Aayat#24) Ma'lum Hua Hey Ke Itaa'at Ke Wajib Hony Ki Yahi Waja Hy Ke Huzoor Alaihissalatu Salam Sab Key Malik Hen Ya Rasoolallah Hamen Apne Darr Par Bula Lijye @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 42 Sarkar Alaihissalam Ne Ek Sookhi Bakri Ke Thano Ko Haath Laga Kar Is Sy Is Qadar Doodh Nikaala Ke Tamam Jama'at Sair Ho Gayi, Malika Ke Sarey Bartan Bhar Gaye (Mishkat - Baab ul Mojizaat) Sookhey Daano Pe Hamarey Bhi Karam Hojaye ~ Chaayen Rehmat Ki Ghata Ban Ke Tumharey Gaisoo @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 43 # Saahib e Shariyat # Farman e Sarwar e Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ; "Aye Logo Tum Par Hajj Farz Hey, Lihaza Hajj Karo Pucha Gaya ; Ya Rasoolallah ! Kya Har Saal Hajj Farz Hy ? Farmaya ; Agar Hum "Haan" Farma Detey To Har Saal Hi Farz Hojata" (Mishkat - Kitab ul Hajj) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 44 Hazrat Anas Ke Baagh Me Ek Baar Huzoor Tashreef Le Gaye To Inka Baagh Saal Bhar Me 2 Baar Phal Deny Laga (Mishkat - Baab ul Karamaat) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 45 Khateeb e Qustalani Imam Ahmed Bin Muhammad ; "Mere Maan Baap Us Shehanshah Par Qurban Jo Us Waqt Sey Baadshah Hen Jab Hazrat Aadam Mitti Aur Paani Me Jalwa Gar They" "Jab Huzoor Kuch Chah Len To Usky Khilaaf Nahi Ho Sakta Aur Na Koi Inko Rok Sakta Hy" (Mawahib ul Ladunya 1/46) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 46 Allama Yousuf Bin Ismail ; > Huzoor Dety Hen Aur Saayilon Ki Haajat Rawayi Karty Hen > Museebat Zadon Ki Museebat Door Karty Hen > Huzoor Shafa'at Farmayen Ge Aur Jisko Chahen Gy Jannat Me Dakhil Karengy (Shawahid ul Haq P#135) Mere Aaqa Detey Hen ~ Jholi Sab Ki Bhartey Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 47 Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ; Huzoor Alaihissalaam Saltanat e Ilahi Ke Muntazim Aur Muqarrar Karda Haakim Hen, Dunya Ke Saarey Koun o Makaan Ke Ahkaam Huzoor Ke Sapurd Hen, In Sey Barh Kar Konsi Saltanat Hey (Ashi'atul Lam'aat 1/656) Inhey Khuda Ne Kya Apne Mulk Ka Maalik @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 48 Imam Aazam Abu Hanifa ; Ya Rasoolallah Aapki Ataa Ka UmeedWar Hun Aur Khalqat Me Abu Hanifa Ka Aapky Siwa Koi Nahi (Qaseeda e Noman) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 49 Ek Baar Huzoor Hazrat Ali Ke Zanoo Par Sar Rakh Kar Aaraam Farma Rahy Hen Hazrat Ali Ny Asar Adaa Na Farmayi Thi, Aapka Khayal Tha Ke Agar Utha To Huzoor Ke Aaraam Me Khalal Hoga, Sooraj Doob Gaya Huzoor Jaagey To Aapki Dua Sy Dooba Sooraj Palat Aaya (Shaami - Baab ul Murtaddeen) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 50 Ek Pyaaley Me Huzoor Ne Apna Haath Mubarak Rakh Dya To Ungliyon Sy Paani Ke Chashmey Jaari Hogaye, 1500 Aadmiyon Ne Sair Hokar Paani Piya Aur Wuzu Kiya (Mishkat - Baab ul Mojizaat) Ungliyan Hen Faiz Pr Tooty Hen Pyase Jhoom Kr ~ Naddiyaan Punj Aab e Rehmat Ki Hen Jaari Wah Wah @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 51 "ALLAH Deta Hey Aur Me Taqseem Karta Hoon" (Mishkat - Kitab ul Ilm) Ma'lum Hua Ke Khuda Apne Mustafa Ko Ataa Karta Aur Mustafa Kareem Alaihissalatu Wattasleem Jahan Walon Ko Taqseem Farmatey Hen Aur Aapki Sifat QASIM Bhi Hy. Yahan Sy Bhi Huzoor Ki Milkiyat Aur Qabza Sabit Hua @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 52 Mulla Ali Qaari ; Dunya o Aakhirat Ki Har Cheez Ke Malik Huzoor, Izzat, Iman, Jannat, Rehmat Sab In Se Mango, (Mirqat - Shara Mishkat) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 53 Ibne Hajar Makki ; Huzoor Alaihissalam ALLAH Ke Barey Khaleefa Hen, Rabb Ke Khazaney Aur Uski Ne'maten Huzoor Ke Haath Aur Inke Iradey Me Hen. Jisey Chahey Den (Al-Jawahir ul Munazzam P#52) Jo Chahen Gey Jisey Chahen Gey Ye Usey Denge ~ Kareem Hen Ye Khazaney Lutaaney Aaye Hen @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 54 Imam Nawawi ; Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Lye Jaaiz Hy Ke Wo Umoom Ahkaam Me Sy Jisko Chaahen Khaas Farma Len, Jis Tarah Abu Burda Bin Dinar Ko Huzoor Ne 1 Saal Sey Kam Umar Ke Bakrey Ki Qurbani Karny Ki Ijazat Dedi (Mirqaat 2/323) ~ Mehboob Kya Maalik o Mukhtar Banaya @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 55 Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ; Sarkar Ne Jo Suwal Ko Mutlaq Farmaya Ke "Maango" Aur Isey Kisi Khaas Cheez Sy Muqayyad Na Farmaya, Ma'lum Hota Hy Ke Saara Muamla Huzoor Ke Hi Kareemana Hathon Me Hy Jo Chahen Jisey Chahen Apne Rabb Ke Hukum Sy De Den (Ashi'at-ul-Lam'aat 1/106) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 56 Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ; Louh-o-Qalam Huzoor Ke Uloom Ka 1 Hissa Hy Agar Dunya-o-Aakhirat Ki Khair Chahty Ho To Syed e Aalam Ke Aastany Pr Aao, Jo Chaaho Maang Lo Tamam Hukumat, Saraa Jahan ALLAH Ki Ataa Se Sarkar Key Qudrat-o-Tasarruf Me Hen (Ashi'at-ul-Lam'aat 1/106) @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 57 Sarkar Ny Hazrat Usaid Bin Ayas Ke Chehry Or Seeny Pr Apna Dast e Mubarak Phera To (Is Qadar Munawwar Ho Gaya Ke) Wo Andheri Kothri Me Dakhil Hoty To Wo Roshan Ho Jati (Ibn e Asakar) (Kanz ul Umaal) JisKe Har Khat Me Hy Mouj-e-Noor-e-Karam Us Kaf-e-Behr-e-Himmat Py Lakhon Salam @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 58 "Qayamat Ke Din Jab Loug Na Umeed Hongy, Izzat o Karaamat Aur Kunjiyaan Mery Haath Me Hongi Aur Hamd Ka Jhanda Bhi Us Din Mery Haath Me Hoga" (Mishkat P#514) Arsh Par, Farsh Par Dunya Me, Uqbaa Me Bhi ~ Jahan Dekha Mujhey Sarkar (Alaihissalatu Wassalaam) Ka Jhanda Nazar Aaya @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 59 Kisi Ney Suwal Kya ; Ya Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ! Kya Hajj Har Saal Farz Hey? Farmaya ; Nahi, Aur Agar Me Haan Keh Deta To Har Saal Hi Farz Ho Jaata (Tirmizi) (Ibn e Maaja) (Nisaai) (Daarmi) (Masnad Ahmad) Jabke Ibn e Maaja Ki Riwayat Me Yahan Tak Hey ; "Agar Haan Keh Dun To Har Saal Farz Ho Jaye, Agar Tum Har Saal Na Karty To Azaab Kye Jaaty" Hey Junbish e Labb Qanoon e Khudaa ~ Qur'an o Khabar Ki Gawahi Hy @SALTANAT-e-MUSTAFA@ 60 Me'raj Ke Mouqey Par Ibtida'an 50 Namazen Ataa Ki Gayeen, Phir Mehboob e Khudaa Alaihissalatu Wassalaam Ki Darkhuwast Par Sirf 5 Namazen Reh Gayeen (Bukhari) (Muslim - (Mulkhasan) ) Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Faro'a Hen ~ Asal ul Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hey