Ulama @01 Sarkar e Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Farmatey Hen; "Jannati Jannat Me Ulama e Karaam Ke Mohtaj Honge Is Lye Ke Wo Har JUMMAH DEEDAR e ELAHi Se Musharraf Honge ALLAH Farmaye Ga; Mujh Se Maango Jo Chaho! Wo Jannati Ulama e Karaam Ki Taraf Mutawajja Honge Ke Apne RAB Se Kya Mangen? Wo Farmayen Ge: "Ye Mango Wo Mango" To Jesey Wo Log Dunya Men Ulama Ke Mohtaj They, Jannat Men Bhi Unke Mohtaj Honge. (Al Jaami ul Sagheer H#2235) Ulama @02 Q.Jo AuliyaALLAH Se Durust Aqeeda Na Rakhe Uske Mutaliq Ulama Kya Farmate Hen? A.Jo Shaks AuliyaALLAH Se Durust Aqeedat Na Rakkhe Us Ka Khatima Imaan Par Na Hone Ka Qavi Andesha He (Barkat-E-Qadriat, Page:30) ALLAH Hame Auliya Ki Aqeedat Se Wabista Rakhey Ulama @03 Ulama Ki Itteba Karo Kyun Ke Wo Dunya Aur Aakhirat Ke Chiraagh Hen (Kanzul Ammaal) Ulama @04 "Aalim Ki Fazilat Ibaadat Karne Waley Par 70 Darje Zyada Hey" (Tafseer Kabeer V1 P#275)