WALYoN Ke Imam @01 ¤Sheikh Abdul Qadir Jilani¤ #Ta'arruf# Wiladat: 1st Ramazan 470 Hijri Geelan (Jeelan) Ke Qasbe Nayf Me Hui Kunniyat: Abu Muhammad Laqab: Mohiyyuddin Khitaab: Ghous ul A'zam Aap Nasab Ke Aetbaar Se Hasani Hussaini Syed Hen. (Ghous ul Wara P#9,10 - By Allama Qamar Yazdani) WALYoN Ke Imam @02 #Huliya Mubarak# Hazrat Nahif ul Jism Miyana Qadd Bara Sar Mubbarak Khushada Peshani o Seena Daraaz o Ghani Raish Mubarak Bari Roshan Aankhen Gandumi Rang Dilnasheen Guftugu Ke Malik Kisi Pr Nigah Daalen To Us Pr Haibat Se Larza Taari Ho Jaye (Safinatul Auliya) (Akhbarus Saaliheen) WALYoN Ke Imam @03 #Ta'leem# Ghous e Paak Baghdad Me Husool e Elm e Deen Ke Lye Shiekh Hammaad Bin Muslim Dabbas Alaihirrahma Ke Paas Puhnchey Aur Aap Ne Jald Hi Ilm e Hadis Aur Fiqah Par Uboor Haasil Kar Lya, Dunya Sey Doori Ke Lye 25 Saal Tak Jungle Me Akeley Rahey (Qurb e Ilahi P#110) WALYoN Ke Imam @04 #Deedar e Mustafa# Ghous e Paak Ko 16 Shawwal 521 Hijri Ko Khuwab Me Sarkar Alaihisalatuwassalaam Ki Ziyarat Hui (Qurb e Ilahi P#111) WALYoN Ke Imam @05 #Raat Bhar Qayaam# Ghous e Paak Ne 40 Saal Tak ISHAA Ke Wuzu Sey FAJAR Ki Namaz Parhi {Qalaid ul Jawair P#78} Mazeed Hawaley Bi Hen WALYoN Ke Imam @06 #Riyaazat# Har Raat 1000 Nawafil Adaa Farmatey (Tafri ul Khatir P#36) 15 Saal Tak Ek Raat Me Qur'an Khatam Farmaya. (Tohfa e Qadria P#30) WALYoN Ke Imam @07 #Karaamat# Ghous e A'zam RadiyALLAHu anhu Ki Karaamat Sey 12 Saal Ki Doobi Hui Kishti Apni Sahee Haalat Me Paani Par Namudaar Hui Is Karaamat Ki Baghdad Me Aisi Dhoom Machi Ke Bey Shumar Logo Ne Aapke Haath Par Islam Qubool Kya (Sultan ul Azkaar Fi Manaqibi Ghous ul Abraar) WALYoN Ke Imam @08 #Jalaal e Ghous e Paak# Ek Mehfil Me Bayan Farma Rahe They Ke Ek Cheel (Eagle)Uper Sey Awaaz Lagati Hui Guzri Aap Ne Nigah Utha Kar Kaha Iska Sar Uraa Do Logon Ne Dhekha Ke Cheel Ka Sar Juda Hogaya Ap Ne Isey Haath Me Lya BismILLAH Parhi, Wo Zinda Hogayi (Ghous ul Wara P#30) WALYoN Ke Imam @09 #Hanbali Maslak# "Ghous e Paak Hamesha Se Hambli They. Jab Mansab e Ijtehad Hasil Hua Aur Mazhab e Hanbal Kamzor Hota Dekh Kar Uskey Mutabiq Fatwa Dya K Huzur Mohiuddin Aur Deen e Mateen Ke Ye Charon Sutoon Hen, Jis Sutoon Me Zouf Dekha, Taqwiyat Farmayi" (Fatawa Razawiya 2/433) WALYoN Ke Imam @10 Q.Jo AuliyaALLAH Se Durust Aqeeda Na Rakhe Uske Mutaliq Ulama Kya Farmate Hen? A.Jo Shaks AuliyaALLAH Se Durust Aqeedat Na Rakkhe Us Ka Khatima Imaan Par Na Hone Ka Qavi Andesha He (Barkat-E-Qadriat, Page:30) ALLAH Hame Auliya Ki Aqeedat Se Wabista Rakhey Aameen WALYoN Ke Imam @11 Q.Sheikh Abdul Qadir Jilani Ko Ghous e A'zam Kyun Kehte Hen? A.Naqli Dalail Aksar Dye Jaate Rahey Hen Sirf #Aqli Daleel# Paish Kar Raha Hun Log Jinnah Sahab Ko Quaid e A'zam Kehte Hen To Suwal Nahi Uth'ta Magar Hum ALLAH K Maqbool Wali Ko GHOUS e AZAM Kahen To Aetraaz Hota He WALYoN Ke Imam @12 #Khush Khabri# Sarkar e Baghdad Huzur Ghous e Paak Farmatey Hen; "ALLAH Ne Mujh Sey Waada Farmaya Hey Ke Merey Mureedon Aur Merey Doston Ko JANNAT Me Daakhil Karey Ga To Jo Koi Apney AapKo Mera Mureed Kahey, Me Isey Qubool Kar Ke Apney Mureedon Me Shamil Kar Leta Hun Aur IsKi Taraf Apni Tawajjuh Rakhta Hun Me Ney Munkar Nakeer Se Is Baat Ka Ehad (Waada) Lya Hey Ke Wo Qabar Me Merey Mureedon Ko Nahi Daraen Gey (Bahijjatul Asraar) WALYoN Ke Imam @13 Farman e Ghous e A'zam; "Mera Mureed Chahey Kitna Ii Gunahgaar Ho, Us Waqt Tak Na Marega Jab Tak Touba Na Karley (Akhbaar ul Akhyaar) WALYoN Ke Imam @14 #Shaan e Ghous e A'zam# Ghous e Paak Farmatey Hen; "Mere Haath Par 500 Se Zaaid Yahudiyon Aur Essaiyon Ne Islam Qubool Kya Aur Ek Laakh Se Zyada Daaku, Chor, Fussaaq o Fujjaar, Fasaadi, Aur Bid'ati Logon Ne Touba Ki" (Bahijjatul Asraar P#184 - By Allama Nooruddin Abul Hasan) WALYoN Ke Imam @15 #Waseela# Farman e Ghous; "Jo Mere Wasiley Se ALLAH Ki Bargaah Me Apni Haajat Pesh Kare Wo Haajat Puri Hogi" (Bahijjatul Asraar P#194-197) WALYoN Ke Imam @16 Q.Kya Rabi-us-Saani Ko Rabi-ul-Ghous Kehna Haraam-o-Bid'at He? A.Ye Aetraaz Baatil He, Agar Yahi Usool Haram o Bid'at Ka He To Phir Sarkar Ke Farman Ko "Hadees" Kehte Hen Magar Jin Ahadees Ko Imam Bukhari Ne Jama Kya Usey "Bukhari ki Hadees" Kaha Gaya. To Us Usool Ke Tehat To Ye Kehna Bid'at Hoga? Is Pr Koi Bad Aqida Fatwa Nahi Lagaye Ga Ye Inki Aadat He Ke Inki Qabar Par Jana Jaiz Magar Sunni Mazaar Pr Jaye To Shirk ALLAH Aqal Dey WALYoN Ke Imam @17 Last #Wisaal# 11 Rabi ul Aakhir 561 Hijri Me Parda Farmaya, Umer Mubarak: 90 Saal Mazaar: Baghdad Sharif (ALLAH Ke Safeer P#239)